Meri Maa

Photo by Jonathan Borba on Pexels.com

meri ankho ka pehla nazaara ho aap,
sabse pehle deedar hua ho jiska, woi sahara ho aap...

ek beej sa tha me, doodh se seencha hai aapne,
beshak daud rha hu saare jahan me aaj,
pehla kadam chalna seekhaya hai aapne,
khud garam hawaon me reh kar,
mujhe thande me rakha hai aapne..

kese bhul jaau me dulaar, wo mamta, wo pyaar aapka,
jo bhi wajood mera , bas aapka shukarguzaar hu me,
saat jananamo tak nahi ada kar sakta un ehsaano ka karzzdar hu me,…

hai to ek chhota sa shabd “maa” par mera sabse bda sansaar ho aap…
jab ho ek ghani raat ka saaaya, ek nayi subh ki shuruat ho aap,
shabdo me byaan na kar paau ek esa ehsaas ho aap…
bhagwaan se bhi khubsurat agar hai kuchh, esa wajood ho aap…

haan pareshaan to hazaar baar kia hai aapko mene,
par mere liye dil ke sabse paas ho aap,
meri ankho ka pehla naazara, mera pehla pyaar ho aap….

khud ki ankhe nam ho, fr bhi hasaaya hai mujhe,
khud ka pet bhukha, fr bhi khana khailaya hai mujhe,
hazzar galtiya kar du me beshak, fr bhi seene se lagaya hai mujhe….

agar wajood mera koi hai es jahaan me,
to bas wo itna ki aapka hissa hu me,
ek khubsurat sa kissa hu, jo sabko sunaati ho “maa”……

meri ankho ka pehla nazaara ho aap,
sabse pehle deedar hua ho jiske, woi sahara ho aap…

Photo by Pixabay on Pexels.com

Leave a comment

search previous next tag category expand menu location phone mail time cart zoom edit close