
Shehar me
baarish ka hona
kuchh khaas sa ho jata hai,
tu na sahi, teri yaad ka aana
zaroori sa ho jata hai…
boonde to baarish ki bhi
taras rahi hogi us chai ki khushboo ko,
es shaam ka tere bina
pura hona majboori sa ho jata hai….
Taqaat kaho use ek tarfa pyaar ki haddd,
ya yuh kaho asar tha ishq ka,
jo puri duniya ka ‘ya to pagal’ ‘ya to shayar’
banna zaroori sa ho jata hai….
Shehar me baarish ka hona kuchh khaas sa ho jata hai…
